IMG_20170524_142015

Transcription in Urdu:

Zindagi mein kabhi na kabhi hum is muqaam per aa jaatay hain jahaan hum apni zindagi aur uss ki tarjeehaat se larna bund kar detay hain. Humen samajh aajata hai kay agar hum kuch badal nahi saktay tou uss kay saath guzara karna hota hai. Bagheyr kisi shikayat aur shikway kay. Chaahay dil bujh jaye, chaahay dumm ghutnay lagay, chaahay apni zaat raakh ho kar zarra zarra hojaye. Chaahay jo bhi ho. Chehray per ek masnoo’ee muskurahat sajaaye zindagi ko uss kay sahi dagar per chalana hota hai. Hum haar tasleem kar letay hain, iss amal kay doraan kaheen khud ko qatal bhi kar aatay hain, kyun kay hum bad-qismati se ek esay mu’aashray ka hissa hain jahan desi mediocre riwwayon mein tabdeeli aur inqilaab ki baaten tou buhat hain, magar unn baaton ko amli jama pehnaney se buhat maharat se gurayz kia jata hai. Zaat ka intiqaal ho jata hai, aur “loag” khush hojatey hain — kisi aur maamlay pe bigarney kay liye.

Translation in English:

Once in a lifetime, we arrive at a point where we stop fighting against our life and its priorities. We understand that we’re supposed to adjust and compromise with things that we can’t change. Without any complains. Even if our heart deflates, even if we suffocate, even if our identity crumbles down to dust. No matter what happens. Faking a smile, we need to lead life on the right track. We accept defeat. We even kill ourselves during this process, because we unfortunately belong to a society where there are talks about change and revolution in traditional mediocre behaviors, but practicing those notions is entirely ignored. Individual identity dies, and “people” get satisfied — to get angry on some other issue.

– Mahaah.